Maa Shayari in Hindi | Mom Quotes Hindi
Sar Par Jo Hath Phere Mere To Himmat Mil Jaye, Maa Ek Baar Muskura De To Jannat Mil Jaye.
Jiske Hone Se Mai Khud Ko Mukammal Maanta Hun, Mai Khud Se Phle Apni Maa Ko Janta Hun.
Haal Bure The Magar Ameer Bana Kar Rakhti Thi, Hum Gareeb The Yeh Baat Bas Humari Maa Janti Thi.
Maa Hi Hume Zindagi Jeene Ka Har Paat Padhati Hai, Es Farebi Duniya Mein Sach Ki Pehchaan Karati Hai.
Es Tarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai, Maa Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Roo Deti Hai.
Ghutno Se Rengte-Rengte Jab Pairon Par Khada Ho Gaya, Maa Teri Mamta Ki Chaao Mein Jaane Kab Bada Ho Gaya.
Buri Balayen Bhi Mere Choukhat Se Lout Jaati Hain, Mere Maa Ki Dua Bhi Kitna Asar Rakhti Hai.
Bhool Jaata Hun Saari Pareshani Zindagi Ki, Maa Apni Goud Mein Jab Mera Sar Rakh Leti Hai.
Maa Tere Pass Aata Hun, To Sans Bheeg Jaati Hai, Mohabbat Itni Milti Hai Ki Aankhe Bheeg Jaati Hain.