Duniya Walon Ka Bhi Ajeeb Dastoor Hai, Bewafai Mehboob Se Milti Hai, Aur Bewafa Mohabbat Ban Jaati Hai.
Wo Mili Bhi To Kya Mili Ban Ke Bewafa Mili, Itne To Mere Gunah Bhi Na The Jitni Mujhe Saja Mili.
Mere Nigahon Mein Behne Wale Ye Aawara Se Ashq, Puch Rahe Hai Palko Se Teri Bewafai Ki Wajah.
Bhula Denge Tumhe Bhi Thoda Sabr Rakhna, Tumhari Tarah Bewafa Hone Mein Thoda Waqt Lagega.
Mohabbat Ka Natija Duniya Mein Humne Bura Dekha, Jinhe Daawa Tha Wafa Ka Unhe Bhi Humne Bewafa Dekha.
Wafadaar Aur Tum Khayaal Achha Hai, Bewafa Aur Hum Ilzaam Bhi Achha Hai.
Maine To Use Heere Ki Tarah Taraasha To Bahut Tha, Lekin Wo Jaat Ki Patthar Thi Aur Patthar Hi Rahi.
Aakhri Didar Kar Le Meri Laash Ka Teri Gali Se Guzar Rahi Hai, Dekhle Maine Marne Ke Baad Bhi Rasta Nahi Badla.
Shayad Parindo Ki Fitrat Se Aaye The Wo Mere Dil Mein, Zara Se Pankh Kya Nikle Aashiyana Hi Badal Liya.
Tere Ishq Ka Surur Tha Jo Khud Ko Barbaad Kar Baithe, Varna Duniya Aaj Bhi Tujhse Zayada Mere Diwaani Hai.