Marne Se Theek Phle Dil Chahata Hai Apno Ko Jee Bhar Ke Dekhna, Kabhi Khatam Na Ho Etni Baatien Kar Lena.

Marne Se Theek Phle Yaad Aate Hain Sab Purane Rishte Naate, Jinse Baat Kiye Zamane Beet Gaye The.

Marne Se Theek Phle Lagta Hai Ki Kaash Uppar Wala Thoda Sa Waqt Aur Deta, Jin-Jin Ka Dil Dukhaya Hai Unse Milkar Maafi Maang Leta.

Marne Se Theek Phle Hone Lagta Hai Apno Ko Kabhi Na Dekh Paane Ka Gum, Ab Vida Lene Ka Waqt Aa Gaya Hai Yeh Sochkar Ho Jaati Hai Aankhe Num.

Marne Se Theek Phle Yaad Aati Hai Janam Bhumi, Apne Hathon Se Lagaya Pedh Aur Bachpan Wala Purana Ghar.

Marne Se Theek Phle Bachpan Ki Yaad Aati Hai Wo Cycle Par Peeche Baith Kar Bachpan Ke Sathi Ke Sath Pure Kiye Gaye Lambe-Lambe Safar.

Marne Se Theek Phle Yaad Aata Hai Maa-Baap Ki Goud Mein Beeta Hua Bachpan, Kaise Parivar Ki Jimmedariyon Mein Umar Ho Gayi 30 Se 55.

Marne Se Theek Phle Ye Sab Baatien Yaad Aati Hain Lekin Zindagi Ka Daman Choot Raha Hota Hai.

Dosto Kaisi Lagi Ye Story Agar Aap Shayari Ke Shoukeen Hai To Humare Page Par Visit Kar Sakte Hain.